raqeebon se mujhe lagte hain ab to yaar ye jhumke
ki har dam choomte hain aapke rukhsaar ye jhumke
use khush rahne ki khaatir siva mere yahi chahiye
mere haathon bana khana aur haan do chaar ye jhumke
tumhein kya hi zaroorat hai kisi hathiyaar ki saahib
kamaan abroo nazar hai teer au talwaar ye jhumke
bura na tum agar maanon to kya main choom luun tumko
mera to dil nahin par kar rahe israar ye jhumke
abhi bazaar mein the to bahut hi aam se the ye
tere kaanon mein kya aaye hue shehkaar ye jhumke
laten uski uljh jaati hain jab bhi aa ke jhumkon se
hai lagta naginon se kar rahe takraar ye jhumke
tere kaanon mein aise jhoomte hain ladkhadate hain
ki jaise rind ki maanind hon sarshaar ye jhumke
रक़ीबों से मुझे लगते हैं अब तो यार ये झुमके
कि हर दम चूमते हैं आपके रुख़्सार ये झुमके
उसे ख़ुश रहने की ख़ातिर, सिवा मेरे यही चहिए
मेरे हाथों बना ख़ाना, और हाँ, दो चार ये झुमके
तुम्हें क्या ही ज़रूरत है, किसी हथियार की साहिब
कमाँ अबरू, नज़र है तीर औ तलवार ये झुमके
बुरा ना तुम अगर मानों तो क्या मैं चूम लूँ तुमको
मेरा तो दिल नहीं पर कर रहे इसरार ये झुमके
अभी बाज़ार में थे तो, बहुत ही आम से थे ये
तेरे कानों में क्या आए, हुए शहकार ये झुमके
लटें उसकी उलझ जाती हैं, जब भी आ के झुमकों से
है लगता नागिनों से कर रहे तकरार ये झुमके
तेरे कानों में ऐसे झूमते हैं, लड़खड़ाते हैं
कि जैसे रिन्द की मानिंद हों सरशार ये झुमके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashutosh Kumar "Baagi"
our suggestion based on Ashutosh Kumar "Baagi"
As you were reading Aankhein Shayari Shayari