umr kat jaati hai par ye na bhara karte hain
zakham is dil mein kuchh aise bhi hua karte hain
hamne jo kuchh bhi kiya aapki khaatir hi kiya
aap jo karte hain vo bahr-e-khuda karte hain
aapse milke ye maaloom hua hai mujhko
ab bhi kuchh log muhabbat mein wafa karte hain
kaam sab chhod ke aao mere yaaron ham tum
is udaasi ka sabab kya hai pata karte hain
is wajah se bhi hamein neend nahin aati hai
khwaab toote hue aankhon mein chubha karte hain
main tere shehar mein aaya to ye jaana maine
ek bazaar mein rishte bhi bika karte hain
apne ghar ki bhi hifazat nahin kar paaye abhi
bas isee baat ka afsos kiya karte hain
उम्र कट जाती है पर ये न भरा करते हैं
ज़ख़्म इस दिल में कुछ ऐसे भी हुआ करते हैं
हमने जो कुछ भी किया आपकी ख़ातिर ही किया
आप जो करते हैं वो बहर-ए-ख़ुदा करते हैं
आपसे मिलके ये मालूम हुआ है मुझको
अब भी कुछ लोग मुहब्बत में वफ़ा करते हैं
काम सब छोड़ के आओ मेरे यारों हम तुम
इस उदासी का सबब क्या है पता करते हैं
इस वजह से भी हमें नींद नहीं आती है
ख़्वाब टूटे हुए आँखों में चुभा करते हैं
मैं तेरे शहर में आया तो ये जाना मैंने
एक बाज़ार में रिश्ते भी बिका करते हैं
अपने घर की भी हिफ़ाज़त नहीं कर पाए ‘अभी’
बस इसी बात का अफ़सोस किया करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Udasi Shayari Shayari