yaqeen ki hi baat thi so tarbiyat mein the nahin | यक़ीन की ही बात थी सो तरबियत में थे नहीं

  - Divyansh "Dard" Akbarabadi

yaqeen ki hi baat thi so tarbiyat mein the nahin
wagarana bas vo teen lafz kis lugat mein the nahin

main qaid tha qafas mein aur vo ud raha tha saamne
ye pehli baar tha ke pankh ahmiyat mein the nahin

so main ne dil bana ke bhej daala aapke liye
ke aap kam se kam meri mukhaalifat mein the nahin

muaaf kar diya hai ham ne soch kar ke kuchh magar
tere gunaah to ai yaar maazrat mein the nahin

vo aisa shakhs jiske chehre par naqaab hi naqaab
ham aise shakhs jo kabhi munaafiqat mein the nahin

यक़ीन की ही बात थी सो तरबियत में थे नहीं
वगरना बस वो तीन लफ़्ज़ किस लुग़त में थे नहीं

मैं क़ैद था क़फ़स में और वो उड़ रहा था सामने
ये पहली बार था के पंख अहमियत में थे नहीं

सो मैं ने दिल बना के भेज डाला आपके लिए
के आप कम से कम मिरी मुख़ालिफ़त में थे नहीं

मुआफ़ कर दिया है हम ने सोच कर के कुछ मगर
तेरे गुनाह तो ऐ यार माज़रत में थे नहीं

वो ऐसा शख़्स जिसके चेहरे पर नक़ाब ही नक़ाब
हम ऐसे शख़्स जो कभी मुनाफ़िक़त में थे नहीं

  - Divyansh "Dard" Akbarabadi

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divyansh "Dard" Akbarabadi

As you were reading Shayari by Divyansh "Dard" Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Divyansh "Dard" Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari