bulaakar mehfilon mein tum jo mujhko aazmaate ho | बुलाकर महफ़िलों में तुम जो मुझको आज़माते हो - Himanshu Shukla

bulaakar mehfilon mein tum jo mujhko aazmaate ho
muhabbat sach mein hai ya phir raqeebon ko jalate ho

chalo maana sitamgar ho bada ye zulm hai lekin
churakar mujhko duniya se nazar mujhse churaate ho

bhala kaisi ye ruswaai muhabbat khel kyun aisa
zamaane bhar se jeeta hoon tumhin har pal haraate ho

yahan har mod par dekho tumhaari yaad ke saaye
tumhin dil mein samaaye ho tumhin dil tod jaate ho

tumhin ho qaafiya jaanaan radeefon kii bhi gehraai
mere har sher mein tum ho tumhin ghazlein sajaate ho

बुलाकर महफ़िलों में तुम जो मुझको आज़माते हो
मुहब्बत सच में है या फिर रक़ीबों को जलाते हो

चलो माना सितमगर हो बड़ा ये ज़ुल्म है लेकिन
चुराकर मुझको दुनिया से नज़र मुझसे चुराते हो

भला कैसी ये रुस्वाई मुहब्बत खेल क्यों ऐसा
ज़माने भर से जीता हूँ तुम्हीं हर पल हराते हो

यहाँ हर मोड़ पर देखो तुम्हारी याद के साए
तुम्हीं दिल में समाए हो तुम्हीं दिल तोड़ जाते हो

तुम्हीं हो क़ाफ़िया जानाँ रदीफ़ों की भी गहराई
मिरे हर शेर में तुम हो तुम्हीं ग़ज़लें सजाते हो

- Himanshu Shukla
0 Likes

More by Himanshu Shukla

As you were reading Shayari by Himanshu Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Himanshu Shukla

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari