hazaaron khwaahishein tooti muqaddar se mila bhi kya | हज़ारों ख़्वाहिशें टूटीं मुक़द्दर से मिला भी क्या - Himanshu Shukla

hazaaron khwaahishein tooti muqaddar se mila bhi kya
hatheli jism ka hissa lakeeron se gila bhi kya

gareebi bhi nachaati hai bina dhun aur geeton ke
usoolon pe jo zinda ho usoolon ka sila bhi kya

bahut toota bahut bikhra jhukaaya sar ibadat mein
ladai ab khuda se hai khuda se hai hila bhi kya

hamaari jhopdi kii bhi banaavat taaj-mahalo sii
mubaarak ho tumhin ko sab jo ho kothee qila bhi kya

chaman ke phool kii hatya jo kii tumne kitaabon mein
tumhin batlaao bhi jaanaan vo mar kar hai khila bhi kya

हज़ारों ख़्वाहिशें टूटीं मुक़द्दर से मिला भी क्या
हथेली जिस्म का हिस्सा लकीरों से गिला भी क्या

ग़रीबी भी नचाती है बिना धुन और गीतों के
उसूलों पे जो ज़िंदा हो उसूलों का सिला भी क्या

बहुत टूटा बहुत बिखरा झुकाया सर इबादत में
लड़ाई अब ख़ुदा से है ख़ुदा से है हिला भी क्या

हमारी झोपड़ी की भी बनावट ताज-महलों सी
मुबारक़ हो तुम्हीं को सब जो हो कोठी क़िला भी क्या

चमन के फूल की हत्या जो की तुमने किताबों में
तुम्हीं बतलाओ भी जानाँ वो मर कर है खिला भी क्या

- Himanshu Shukla
0 Likes

More by Himanshu Shukla

As you were reading Shayari by Himanshu Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Himanshu Shukla

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari