deewana hamein tum banaakar gaye ho
shab-e-hijr mein tum rulaakar gaye ho
sabhi ke liye bas mohabbat maza hai
yahi tum bahaana banaakar gaye ho
mile jo mujhe gham sabhi kam lage hain
yahi gham bahut tum jalaakar gaye ho
kiya tha kabhi ek vaada sanam jo
bada khoob usko nibhaakar gaye ho
nahin maanta koi munsif tumhein main
galat faisla jo sunaakar gaye ho
khushi baantaa tha sabhi ko kabhi jay
magar tum use bhi rulaakar gaye ho
दिवाना हमें तुम बनाकर गए हो
शब-ए-हिज्र में तुम रुलाकर गए हो
सभी के लिए बस मोहब्बत मज़ा है
यही तुम बहाना बनाकर गए हो
मिले जो मुझे ग़म सभी कम लगे हैं
यही ग़म बहुत तुम जलाकर गए हो
किया था कभी एक वादा सनम जो
बड़ा ख़ूब उसको निभाकर गए हो
नहीं मानता कोई मुंसिफ़ तुम्हें मैं
ग़लत फ़ैसला जो सुनाकर गए हो
खुशी बाँटता था सभी को कभी जय
मगर तुम उसे भी रुलाकर गए हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaypratap chauhan
our suggestion based on Jaypratap chauhan
As you were reading Justice Shayari Shayari