apni aankhon se aansu ojhal kar do
surmaa laga ke phir mujh ko paagal kar do
phoolon se seekho vo kaise hanste hain
phir aise hi hans ke dil ghaayal kar do
kaafi gham mere chehre pe rahte hain
apni ulfat ka un pe aanchal kar do
roya nahin hoon main bhi to ik muddat se
hijr manaake ab mujh ko jal thal kar do
अपनी आँखों से आँसू ओझल कर दो
सुरमा लगा के फिर मुझ को पागल कर दो
फूलों से सीखो वो कैसे हँसते हैं
फिर ऐसे ही हँस के दिल घायल कर दो
काफ़ी ग़म मेरे चेहरे पे रहते हैं
अपनी उल्फ़त का उन पे आँचल कर दो
रोया नहीं हूँ मैं भी तो इक मुद्दत से
हिज्र मनाके अब मुझ को जल थल कर दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Sad Shayari Shayari