dil se shor nikala jaaye
khaamoshi ko laaya jaaye
jhooth se to sab mushkil mein hain
sach ka daaman pakda jaaye
nainsaafi phail rahi hai
himmat se kuchh bola jaaye
tum jis shakhs ke bhi ghar jaao
us ko ghar pe bulaaya jaaye
kursi waale sab sunte hain
munh pe taalaa daala jaaye
jo nafrat ko bhulaana chahe
us se haath milaaya jaaye
jism ke nakhray dekh raha hoon
rooh se rishta joda jaaye
qabr bulane waali hai shaaz
boriya bistar baandha jaaye
दिल से शोर निकाला जाए
ख़ामोशी को लाया जाए
झूठ से तो सब मुश्किल में हैं
सच का दामन पकड़ा जाए
नाइंसाफ़ी फैल रही है
हिम्मत से कुछ बोला जाए
तुम जिस शख़्स के भी घर जाओ
उस को घर पे बुलाया जाए
कुर्सी वाले सब सुनते हैं
मुँह पे ताला डाला जाए
जो नफ़रत को भुलाना चाहे
उस से हाथ मिलाया जाए
जिस्म के नखरे देख रहा हूँ
रूह से रिश्ता जोड़ा जाए
क़ब्र बुलाने वाली है 'शाज़'
बोरिया बिस्तर बाँधा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Romantic Shayari Shayari