kaash sitaaron ko neeche bhi utaara hota | काश सितारों को नीचे भी उतारा होता

  - Meem Alif Shaz

kaash sitaaron ko neeche bhi utaara hota
kaash chiraagon ko oopar bhi pukaara hota

ham kuchh din apni zauja ke saath hi rahte
kaash tumhaari chaahat ko bhi gawara hota

koshish jaari hai qismat ko chamkaane ki
kaash hamaari qismat ko bhi sanwaara hota

chhote chhote bacche sadkon pe firte hain
kaash kisi ka dil un ka bhi sahaara hota

काश सितारों को नीचे भी उतारा होता
काश चिरागों को ऊपर भी पुकारा होता

हम कुछ दिन अपनी ज़ौजा के साथ ही रहते
काश तुम्हारी चाहत को भी गवारा होता

कोशिश जारी है क़िस्मत को चमकाने की
काश हमारी क़िस्मत को भी सँवारा होता

छोटे छोटे बच्चे सड़कों पे फिरते हैं
काश किसी का दिल उन का भी सहारा होता

  - Meem Alif Shaz

Chaahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Chaahat Shayari Shayari