log mujh ko parkhne aaye the | लोग मुझ को परखने आए थे

  - Meem Alif Shaz

log mujh ko parkhne aaye the
saath apne gulaab laaye the

zindagi ke fate hue panne
saazishon ne bahut jalaae the

meri har baat to galat nikli
log sach bhi khareed laaye the

yaad aata nahin tira chehra
is qadar tujh ko ham bhulaaye the

ishq hote hi jab mile the ham
chaand ke neeche gham sajaaye the

apne hi ghar mein gair the ham bhi
jab se gurbat mein ham bhi aaye the

door tak aag phaili thi lekin
saare saffaak aag laaye the

लोग मुझ को परखने आए थे
साथ अपने गुलाब लाए थे

ज़िंदगी के फटे हुए पन्ने
साज़िशों ने बहुत जलाए थे

मेरी हर बात तो ग़लत निकली
लोग सच भी ख़रीद लाए थे

याद आता नहीं तिरा चेहरा
इस क़दर तुझ को हम भुलाए थे

इश्क़ होते ही जब मिले थे हम
चाँद के नीचे ग़म सजाए थे

अपने ही घर में गैर थे हम भी
जब से ग़ुर्बत में हम भी आए थे

दूर तक आग फैली थी लेकिन
सारे सफ़्फ़ाक आग लाए थे

  - Meem Alif Shaz

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari