kitna anjaan tha is kaam se pehle pehle | कितना अंजान था इस काम से पहले पहले

  - Khalid Azad

kitna anjaan tha is kaam se pehle pehle
main tha gumnaam tere daam se pehle pehle

ab to ham dekh use raah badal lete hain
tha jo mashhoor mere naam se pehle pehle

usko aagaaz-e-safar se hi pashemaan dekha
vo palat aayega anjaam se pehle pehle

ai parindon kabhi raaton ka bharosa na karo
tum to ghar laut chalo shaam se pehle pehle

main tumhein soch ke tanhaai mein ro leta hoon
ye mera kaam hai bas jaam se pehle pehle

kitni mushkil se tere dil mein utar paaya hoon
ik nishaan tak bhi nahi gaam se pehle pehle

raat guzri to kahi chain mila hai mujhko
kitna bechain tha ilhaam se pehle pehle

कितना अंजान था इस काम से पहले पहले
मैं था गुमनाम तेरे दाम से पहले पहले

अब तो हम देख उसे राह बदल लेते हैं
था जो मशहूर मेरे नाम से पहले पहले

उसको आगाज़-ए-सफ़र से ही पशेमां देखा
वो पलट आएगा अंजाम से पहले पहले

ऐ परिंदों कभी रातों का भरोसा न करो
तुम तो घर लौट चलो शाम से पहले पहले

मैं तुम्हें सोच के तन्हाई में रो लेता हूँ
ये मेरा काम है बस जाम से पहले पहले

कितनी मुश्किल से तेरे दिल में उतर पाया हूं
इक निशां तक भी नही गाम से पहले पहले

रात गुज़री तो कहीं चैन मिला है मुझको
कितना बेचैन था इल्हाम से पहले पहले

  - Khalid Azad

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari