aapke raste mein phool main ab sajaane laga | आपके रस्ते में फूल मैं अब सजाने लगा - Lalit Mohan Joshi

aapke raste mein phool main ab sajaane laga
apne hi khoon se shool path ke hataane laga

hijr kii raat kattee nahin hai batao zara
aag ab shehar mein hijr kyun phir lagaane laga

taur mujhko sikhaana nayi nasl ko hai yahan
roz phir apne main khoon se hi nahaane laga

आपके रस्ते में फूल मैं अब सजाने लगा
अपने ही ख़ून से शूल पथ के हटाने लगा

हिज्र की रात कटती नहीं है बताओ ज़रा
आग अब शहर में हिज्र क्यूँ फिर लगाने लगा

तौर मुझको सिखाना नई नस्ल को है यहाँ
रोज़ फिर अपने मैं ख़ून से ही नहाने लगा

- Lalit Mohan Joshi
3 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalit Mohan Joshi

As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Mohan Joshi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari