ishq na karna yaar malaalat hoti hai | इश्क़ न करना यार मलालत होती है

  - Marghoob Inaam Majidi

ishq na karna yaar malaalat hoti hai
ruswaai aur mahaj jalalat hoti hai

kuchh din to vo saath rahega har lamha
uske baad to furqat furqat hoti hai

hijr-e-jaanan mein tum aise tadpoge
bin paani machhli sii haalat hoti hai

chand ghadi mein aise vo badle hai rang
girgit ko bhi us pe hairat hoti hai

tum ko lekar laakhon khwaab sajaaye the
apne us khaabo pe nadaamat hoti hai

loha jaise kha jaata insaanon ko
jang ke jaisi hi ye mohabbat hoti hai

इश्क़ न करना यार मलालत होती है
रुस्वाई और महज़ जलालत होती है

कुछ दिन तो वो साथ रहेगा हर लम्हा
उसके बाद तो फ़ुर्क़त फ़ुर्क़त होती है

हिज्र-ए-जानाँ में तुम ऐसे तड़पोगे
बिन पानी मछली सी हालत होती है

चंद घड़ी में ऐसे वो बदले है रंग
गिरगिट को भी उस पे हैरत होती है

तुम को लेकर लाखों ख़्वाब सजाए थे
अपने उस ख़्वाबों पे नदामत होती है

लोहा जैसे खा जाता इंसानों को
जंग के जैसी ही ये मोहब्बत होती है

  - Marghoob Inaam Majidi

More by Marghoob Inaam Majidi

As you were reading Shayari by Marghoob Inaam Majidi

Similar Writers

our suggestion based on Marghoob Inaam Majidi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari