ghutne jawaab de chuke hain
phir sab hisaab de chuke hain
maangi dava gham-e-mohabbat
phir sab sharaab de chuke hain
ladki zara badi tabhi sab
usko naqaab de chuke hain
kuchh chahiye nahin khuda se
vo aftaab de chuke hain
bas chaah thi sharaab ki par
saathi shabaab de chuke hain
hakdaar achhe shakhs ki thi
mujhsa kharaab de chuke hain
zinda manoj ko khuda bhi
kitne azaab de chuke hain
घुटने जवाब दे चुके हैं
फिर सब हिसाब दे चुके हैं
माँगी दवा ग़म-ए-मोहब्बत
फिर सब शराब दे चुके हैं
लड़की ज़रा बड़ी तभी सब
उसको नक़ाब दे चुके हैं
कुछ चाहिए नहीं ख़ुदा से
वो आफ़ताब दे चुके हैं
बस चाह थी शराब की पर
साथी शबाब दे चुके हैं
हकदार अच्छे शख़्स की थी
मुझसा ख़राब दे चुके हैं
ज़िन्दा मनोज को ख़ुदा भी
कितने अज़ाब दे चुके हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading Naqab Shayari Shayari