milta nahin hai haq yahan haqdaar ko | मिलता नहीं है हक़ यहाँ हक़दार को - Manoj Devdutt

milta nahin hai haq yahan haqdaar ko
aise chalaate hukmraan sarkaar ko

awaaz apni bech di sardaar ne
phir ek patthar maar do sardaar ko

ab media to baithti sarkaar mein
bachta naa dukh kuchh janta ke izhaar ko

fursat nahin milti kisi aur din mujhe
bas isliye free rehta hoon itwaar. ko

seedha akela rah gaya hai har dafa
aur pyaar bhar bhar ke mila makkaar ko

jisko viraasat mein mila sab kuchh yahan
vo kya samajhta muflisi kii maar ko

मिलता नहीं है हक़ यहाँ हक़दार को
ऐसे चलाते हुक्मराँ सरकार को

आवाज़ अपनी बेच दी सरदार ने
फिर एक पत्थर मार दो सरदार को

अब मीडिया तो बैठती सरकार में
बचता ना दुख कुछ जनता के इज़हार को

फ़ुरसत नहीं मिलती किसी और दिन मुझे
बस इसलिए फ्री रहता हूॅं इतवार को

सीधा अकेला रह गया है हर दफ़ा
और प्यार भर भर के मिला मक्कार को

जिसको विरासत में मिला सब कुछ यहाँ
वो क्या समझता मुफ़्लिसी की मार को

- Manoj Devdutt
1 Like

Poverty Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading Poverty Shayari Shayari