samajhdaar aashiq hue hain | समझदार आशिक़ हुए हैं - Manoj Devdutt

samajhdaar aashiq hue hain
adakaar aashiq hue hain

kahaan ab nayi nasl mein vo
wafadar aashiq hue hain

nahin hijr jhela gaya tha
to beemaar aashiq hue hain

mohabbat mein har baar hi kyun
yun laachaar aashiq hue hain

hua pyaar to mar gai sharm
na khuddaar aashiq hue hain

mukammal hui hai mohabbat
to bekar aashiq hue hain

kabhi kam nahin hai kisi se
kalaakaar aashiq hue hain

yahan haq mila to nahin par
ye haqdaar aashiq hue hain

ki dil tootne par nahin sab
qalam car aashiq hue hain

mohabbat mein gham hi milenge
khabar daar aashiq hue hain

kabhi qais phir meer aur ab
to gulzaar aashiq hue hain

mohabbat qalam se hui hai
ghazal car aashiq hue hain

tumhein dekh kar dev ye sab
asardaar aashiq hue hain

समझदार आशिक़ हुए हैं
अदाकार आशिक़ हुए हैं

कहाँ अब नई नस्ल में वो
वफ़ादार आशिक़ हुए हैं

नहीं हिज्र झेला गया था
तो बीमार आशिक़ हुए हैं

मोहब्बत में हर बार ही क्यों
यूँ लाचार आशिक़ हुए हैं

हुआ प्यार तो मर गई शर्म
न ख़ुद्दार आशिक़ हुए हैं

मुकम्मल हुई है मोहब्बत
तो बेकार आशिक़ हुए हैं

कभी कम नहीं है किसी से
कलाकार आशिक़ हुए हैं

यहाँ हक़ मिला तो नहीं पर
ये हक़दार आशिक़ हुए हैं

कि दिल टूटने पर नहीं सब
क़लम कार आशिक़ हुए हैं

मोहब्बत में ग़म ही मिलेंगे
ख़बर दार आशिक़ हुए हैं

कभी क़ैस फिर मीर और अब
तो गुलज़ार आशिक़ हुए हैं

मोहब्बत क़लम से हुई है
ग़ज़ल कार आशिक़ हुए हैं

तुम्हें देख कर देव ये सब
असरदार आशिक़ हुए हैं

- Manoj Devdutt
1 Like

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari