kaun hai badi se kaun chhoti jaat se | कौन है बड़ी से कौन छोटी जात से

  - Amaan mirza

kaun hai badi se kaun chhoti jaat se
ye pata chalega uske tajribaat se

dil mein hona chahiye khuda ka dar magar
darna laazmi hai aadmi ki zaat se

main bharosa kyun karun tumhaari baat par
tum agar mukar gaye to apni baat se

कौन है बड़ी से कौन छोटी जात से
ये पता चलेगा उसके तजरिबात से

दिल में होना चाहिए ख़ुदा का डर मगर
डरना लाज़मी है आदमी की ज़ात से

मैं भरोसा क्यूँ करुँ तुम्हारी बात पर
तुम अगर मुकर गए तो अपनी बात से

  - Amaan mirza

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amaan mirza

As you were reading Shayari by Amaan mirza

Similar Writers

our suggestion based on Amaan mirza

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari