jis din mere kehne par tha ghar se bhaaga vo
main bhi dara hua tha us din sehma sehma vo
jab tak ilm mujhe ho paaya us se mohabbat ka
tab tak to mujhse kaafi door ja chuka tha vo
izzat thi meri par sikka uska chalta tha
note tha main do hazaar ka aur sau do sau ka vo
paas mein ghar hona bhi jaise bhari diqqat thi
kabhi bhi milne aa jaata tha chalta firta vo
hai muntazir rakha usne jitna tumko ab tak
mujh se shart laga le naaz nahin aayega vo
जिस दिन मेरे कहने पर था घर से भागा वो
मैं भी डरा हुआ था उस दिन सहमा सहमा वो
जब तक इल्म मुझे हो पाया उस से मोहब्बत का
तब तक तो मुझसे काफ़ी दूर जा चुका था वो
इज़्ज़त थी मेरी पर सिक्का उसका चलता था
नोट था मैं दो हज़ार का और सौ दो सौ का वो
पास में घर होना भी जैसे भारी दिक़्क़त थी
कभी भी मिलने आ जाता था चलता फिरता वो
है मुंतज़िर रखा उसने जितना तुमको अब तक
मुझ से शर्त लगा ले 'नाज़' नहीं आएगा वो
As you were reading Shayari by Naaz ishq
our suggestion based on Naaz ishq
As you were reading undefined Shayari