zakhamon pe zakhm khaaye zamaane guzar gaye | ज़ख़्मों पे ज़ख़्म खाए ज़माने गुज़र गए

  - Navneet krishna

zakhamon pe zakhm khaaye zamaane guzar gaye
patthar bhi ghar me aaye zamaane guzar gaye

vo dosti ka ho ya koi dushmani ka ho
rishta koi nibhaaye zamaane guzar gaye

kaisi hai kamanseebi ke thokar bhi doston
uski gali mein khaaye zamaane guzar gaye

kuchh to koi bataaye ke chaukhat pe der shab
usko diya jalaae zamaane guzar gaye

aaina hai deewar pe chaspaan usi tarah
akson ko munh chidhaaye zamaane guzar gaye

meri nigaah ab bhi usi simt hai magar
khidki pe usko aaye zamaane guzar gaye

hai naam mera ab bhi raaeson mein hi shumaar
pa faakhta udaaye zamaane guzar gaye

ज़ख़्मों पे ज़ख़्म खाए ज़माने गुज़र गए
पत्थर भी घर मे आए ज़माने गुज़र गए

वो दोस्ती का हो या कोई दुश्मनी का हो
रिश्ता कोई निभाए ज़माने गुज़र गए

कैसी है कमनसीबी के ठोकर भी दोस्तों
उसकी गली में खाए ज़माने गुज़र गए

कुछ तो कोई बताए के चौखट पे देर शब
उसको दिया जलाए ज़माने गुज़र गए

आईना है दिवार पे चस्पाँ उसी तरह
अक्सों को मुँह चिढाए ज़माने गुज़र गए

मेरी निगाह अब भी उसी सिम्त है मगर
खिड़की पे उसको आए ज़माने गुज़र गए

है नाम मेरा अब भी रईसों में ही शुमार
पा- फ़ाख्ता उड़ाए ज़माने गुज़र गए

  - Navneet krishna

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Navneet krishna

As you were reading Shayari by Navneet krishna

Similar Writers

our suggestion based on Navneet krishna

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari