agar ho dost to ye kaam mera kyun nahin karte | अगर हो दोस्त तो ये काम मेरा क्यूँ नहीं करते

  - sahil

agar ho dost to ye kaam mera kyun nahin karte
kisi khanjar se mera chaak seena kyun nahin karte

sar-e-bazaar karte hain numaish apne zakhamon ki
kabhi usne kaha tha dil ko halka kyun nahin karte

bhatkte phir rahe ho aasmaani chakkaron mein kyun
bane jannat zameen hi ye tamannaa kyun nahin karte

taghaaful aapki achhi nahin hai khush nahin hoon main
bhari mehfil mein mujhko aap rusva kyun nahin karte

sitaare chaand to hote nahin hain sab ki qismat mein
miyaan tum jugnuon se hi guzaara kyun nahin karte

bilkhte phir rahe ho hijr jaisi chhoti baaton par
amaan chhodo zara dil ko kushaada kyun nahin karte

chalo maana ki tumko ishq khud se bhi nahin saahil
dikhaava kar to sakte ho dikhaava kyun nahin karte

अगर हो दोस्त तो ये काम मेरा क्यूँ नहीं करते
किसी ख़ंजर से मेरा चाक सीना क्यूँ नहीं करते

सर-ए-बाज़ार करते हैं नुमाइश अपने ज़ख़्मों की
कभी उसने कहा था दिल को हल्का क्यूँ नहीं करते

भटकते फिर रहे हो आसमानी चक्करों में क्यूँ
बने जन्नत ज़मीं ही ये तमन्ना क्यूँ नहीं करते

तग़ाफ़ुल आपकी अच्छी नहीं है ख़ुश नहीं हूँ मैं
भरी महफ़िल में मुझको आप रुस्वा क्यूँ नहीं करते

सितारे चाँद तो होते नहीं हैं सब की क़िस्मत में
मियाँ तुम जुगनुओं से ही गुज़ारा क्यूँ नहीं करते

बिलखते फिर रहे हो हिज्र जैसी छोटी बातों पर
अमाँ छोड़ो ज़रा दिल को कुशादा क्यूँ नहीं करते

चलो माना कि तुमको इश्क़ ख़ुद से भी नहीं साहिल
दिखावा कर तो सकते हो दिखावा क्यूँ नहीं करते

  - sahil

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by sahil

As you were reading Shayari by sahil

Similar Writers

our suggestion based on sahil

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari