milkar dekha hai maine udaas logon se | मिलकर देखा है मैने उदास लोगों से

  - Saahir

milkar dekha hai maine udaas logon se
dard mila tha sabko apne khaas logon se

ikyaavan the tere aashiq sab hain dukh mein
milkar aaya hoon baaki pachaas logon se

nafrat kam kiya karo ye kadvii hoti hai
nafrat kheecha karti hai mithaas logon se

pehle gaaliyaan di kaafi fir socha maine
kya kya karwa deti hai bhadhaas logon se

jaate waqt safar pe maa akshar kahti hai
khan-paan mat lena na-shanaas logon se

fahm se baahar hai kyun hota hai ki mujhe ye
ishq ho hi jaata hai be-qayaas logon se

rooh ek jaisi hoti hai sabki yaaron dekho
utaar kar ke zism ka tum libaas logon se

मिलकर देखा है मैने उदास लोगों से
दर्द मिला था सबको अपने ख़ास लोगों से

इक्यावन थे तेरे आशिक सब हैं दुख में
मिलकर आया हूँ बाकी पचास लोगों से

नफ़रत कम किया करो ये कड़वी होती है
नफ़रत खींचा करती है मिठास लोगों से

पहले गालियाँ दी काफ़ी फ़िर सोचा मैने
क्या क्या करवा देती है भड़ास लोगों से

जाते वक़्त सफ़र पे माँ अक्सर कहती है
खान-पान मत लेना ना-शनास लोगों से

फ़हम से बाहर है क्यूँ होता है कि मुझे ये
इश्क़ हो ही जाता है बे-क़यास लोगों से

रूह एक जैसी होती है सबकी यारों देखो
उतार कर के ज़िस्म का तुम लिबास लोगों से

  - Saahir

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari