dard ke dariya se ik rishta nibhaana rah gaya | दर्द के दरिया से इक रिश्ता निभाना रह गया

  - Rohit tewatia 'Ishq'

dard ke dariya se ik rishta nibhaana rah gaya
mere bas mein khaamoshi ka qahar dhaana rah gaya

ghar banaana chahta tha sabke dil mein main magar
ek dil ke raaste mein hi thikaana rah gaya

fek to daala hai tumne pyaar se bheja gulaab
aur koi roop bhi hai jo dikhaana rah gaya

ek dukh ye hai ki mujhko yaad kuchh rehta nahin
ek dukh hai ye ki tera gham bhulaana rah gaya

ik bhali ladki ke guzre jang mein maa baap aur
uske hisse ham sabhi ko aazmaana rah gaya

kya karoon main alia bhat ki bhi shaadi ho gayi
phone mein sonu nigam ka dil deewana rah gaya

दर्द के दरिया से इक रिश्ता निभाना रह गया
मेरे बस में ख़ामुशी का क़हर ढाना रह गया

घर बनाना चाहता था सबके दिल में मैं मगर
एक दिल के रास्ते में ही ठिकाना रह गया

फ़ेक तो डाला है तुमने प्यार से भेजा गुलाब
और कोई रूप भी है जो दिखाना रह गया?

एक दुख ये है कि मुझको याद कुछ रहता नहीं
एक दुख है ये कि तेरा ग़म भुलाना रह गया

इक भली लड़की के गुज़रे जंग में माँ बाप और
उसके हिस्से हम सभी को आज़माना रह गया

क्या करूँ मैं आलिया भट की भी शादी हो गयी
फ़ोन में सोनू निगम का दिल दिवाना रह गया

  - Rohit tewatia 'Ishq'

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rohit tewatia 'Ishq'

As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Writers

our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari