aarzoo ye hai meri jaan kii jaate jaate
ik mahal ham bhi tere naam banaate jaate
ham ko tasveer banaani nahin aati varna
umr bhar ham tiri tasveer banaate jaate
kis liye chhod gaye tod gaye kyun rishta
jaate jaate hamein itna to bataate jaate
zindagi bhar ke liye chhod ke jaana tha agar
kam se kam naqsh-e-kaf-e-paa to mitaate jaate
thokren kha ke sambhalna tumhein kaise aata
ham agar raah ke patthar ko hataate jaate
vo bhi mud mud ke kahaan tak hamein dekhe jaata
ham bhi kab tak use awaaz lagaate jaate
un se kehna ki bahut yaad kiya hai un ko
un ke deewane ne is dehr se jaate jaate
muflisi le gai sukh chain hamaara varna
zindagi ham bhi tere naaz uthaate jaate
vo charaagon ka muqaddar tha ki jalte bujhte
aapka kaam jalana tha jalate jaate
आरज़ू ये है मिरी जान की जाते जाते
इक महल हम भी तेरे नाम बनाते जाते
हम को तस्वीर बनानी नहीं आती वरना
उम्र भर हम तिरी तस्वीर बनाते जाते
किस लिए छोड़ गए तोड़ गए क्यूँ रिश्ता
जाते जाते हमें इतना तो बताते जाते
ज़िन्दगी भर के लिए छोड़ के जाना था अगर
कम से कम नक़्श-ए-कफ़-ए-पा तो मिटाते जाते
ठोकरें खा के सॅंभलना तुम्हें कैसे आता
हम अगर राह के पत्थर को हटाते जाते
वो भी मुड़ मुड़ के कहाँ तक हमें देखे जाता
हम भी कब तक उसे आवाज़ लगाते जाते
उन से कहना कि बहुत याद किया है उन को
उन के दीवाने ने इस दहर से जाते जाते
मुफ़लिसी ले गई सुख चैन हमारा वरना
ज़िंदगी हम भी तेरे नाज़ उठाते जाते
वो चराग़ों का मुक़द्दर था कि जलते बुझते
आपका काम जलाना था जलाते जाते
As you were reading Shayari by Saif Dehlvi
our suggestion based on Saif Dehlvi
As you were reading undefined Shayari