mohabbat ka mahina bhi gaya soorat nahin dekhi
tere is ishqi saudaai ne kuchh barkat nahin dekhi
jo hazrat pooch baithe hain mohabbat kyun nahin karte
unhen poocho unhonne kya meri haalat nahin dekhi
main shayar hoon to inko lag raha hai jeet jaaunga
raqeebon ne abhi shaayad meri gurbat nahin dekhi
nahin aayega milne ab kisi ka ho chuka hai vo
magar imaan ne insaan kii fitrat nahin dekhi
taraashe jaate hain sab koyale bhi saath heere ke
jise shubhaa hai usne taaqat-e-sohbat nahin dekhi
meri masroofiyat ka haal dekho apne hi ghar mein
maheenon ho gaye rahte abhi tak chhat nahin dekhi
मोहब्बत का महीना भी गया सूरत नहीं देखी
तेरे इस इश्क़ी सौदाई ने कुछ बरकत नहीं देखी
जो हज़रत पूछ बैठे हैं मोहब्बत क्यूँ नहीं करते
उन्हें पूछो उन्होंने क्या मेरी हालत नहीं देखी
मैं शायर हूँ तो इनको लग रहा है जीत जाऊँगा
रक़ीबों ने अभी शायद मेरी ग़ुर्बत नहीं देखी
नहीं आएगा मिलने अब किसी का हो चुका है वो
मगर ईमान ने इंसान की फ़ितरत नहीं देखी
तराशे जाते हैं सब कोयले भी साथ हीरे के
जिसे शुब्हा है उसने ताक़त-ए-सोहबत नहीं देखी
मेरी मसरूफ़ियत का हाल देखो अपने ही घर में
महीनों हो गए रहते अभी तक छत नहीं देखी
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading undefined Shayari