takalluf mein bita do raat ye ghairon kii baatein hain
tumhaare aur mere beech do paharon kii baatein hain
samajh aati nahin aur sun bhi to paata nahin koii
kahe jaate hain bas apni hi ye behron kii baatein hain
koii chhoota rahe hardam tumhaara ho nahin lekin
samandar sahilon ko ilm kya lehron kii baatein hain
bada mayus hai boodha kaha hai jab se bete ne
ho chhote shehar se tum ye bade shehron kii baatein hain
bisat-e-aql-o-danai tumhaari hai nahin itni
zameeni jaan loge aur ye dahron kii baatein hain
तकल्लुफ़ में बिता दो रात ये ग़ैरों की बातें हैं
तुम्हारे और मेरे बीच दो पहरों की बातें हैं
समझ आती नहीं और सुन भी तो पाता नहीं कोई
कहे जाते हैं बस अपनी ही ये बहरों की बातें हैं
कोई छूता रहे हरदम तुम्हारा हो नहीं लेकिन
समन्दर साहिलों को इल्म क्या लहरों की बातें हैं
बड़ा मायूस है बूढ़ा कहा है जब से बेटे ने
हो छोटे शहर से तुम ये बड़े शहरों की बातें हैं
बिसात-ए-अक़्ल-ओ-दानाई तुम्हारी है नहीं इतनी
ज़मीनी जान लोगे और ये दहरों की बातें हैं
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading undefined Shayari