aap hamaare ghar par aana eed ke din | आप हमारे घर पर आना ईद के दिन - Shajar Abbas

aap hamaare ghar par aana eed ke din
phir hamko seene se lagana eed ke din

jab tum ghar par aana mere yaad rahe
saath mein jhumke kangan laana eed ke din

in naazuk aur gore gore haathon se
kheer sivaaiyaan aap banaana eed ke din

tum apni ye reshmi zulfen leharaakar
mausam ko kar dena suhaana eed ke din

ik pal ko mat ojhal hona aankhon se
aap hamaare saamne rahna eed ke din

mujhko tum seene se lagana der talak
sunlo kisi ka khauf na khaana eed ke din

kheer sivaaiyaan lelen theek se lelen shajar
aap humein ye kahke khilaana eed ke din

saath mein kheer sivaaiyon ke ai jaan-e-dil
jaam humein nazaron se pilaana eed ke din

khat mein unhonne hamko likhkar bheja hai
vaade shajar tum bhool na jaana eed ke din

आप हमारे घर पर आना ईद के दिन
फिर हमको सीने से लगाना ईद के दिन

जब तुम घर पर आना मेरे याद रहे
साथ में झुमके कंगन लाना ईद के दिन

इन नाज़ुक और गोरे गोरे हाथों से
खीर सिवाइयाँ आप बनाना ईद के दिन

तुम अपनी ये रेशमी ज़ुल्फें लहराकर
मौसम को कर देना सुहाना ईद के दिन

इक पल को मत ओझल होना आँखों से
आप हमारे सामने रहना ईद के दिन

मुझको तुम सीने से लगाना देर तलक
सुनलो किसी का खौफ़ ना खाना ईद के दिन

खीर सिवाइयाँ लेलें ठीक से लेलें शजर
आप हमें ये कहके खिलाना ईद के दिन

साथ में खीर सिवाइयों के ऐ जान-ए-दिल
जाम हमें नज़रों से पिलाना ईद के दिन

ख़त में उन्होंने हमको लिखकर भेजा है
वादे शजर तुम भूल न जाना ईद के दिन

- Shajar Abbas
1 Like

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari