naara lagaate nikle hain yun apne ghar se ham | नारा लगाते निकले हैं यूँ अपने घर से हम

  - Shajar Abbas

naara lagaate nikle hain yun apne ghar se ham
karne lage hain suniye mohabbat shajar se ham

kahte hain pairokaar ye laila-o-qais ke
dar jaayen kyun bataiye duniya ke dar se ham

dast-e-adab mein parcham-e-ishq-o-wafa liye
aayein udhar se aap to aayein idhar se ham

sab ne tumhaara kah ke pukaara hamein sanam
guzre jidhar jidhar se tumhaare nagar se ham

ham ko gale lagao lo bosa jabeen ka
laute hain aaj barson mein waapas safar se ham

hai kaifiyat ajeeb si furqat ke baad se
karte hain baatein dekhiye deewar-o-dar se ham

aakar bhanwar mein ishq ki kashti uljh gai
kaise nikaalen baahar ise is bhanwar se ham

dekhen hamein vo mahw-e-nazar se mata-e-jaan
dekhen mata-e-jaan ko mahw-e-nazar se ham

likhte hain ghazlein saare sukhanvar siyaahi se
likhte hain ghazlein doston khoon-e-jigar se ham

kaliyon se kah raha hai ye gulshan mein ek gul
karta hai ishq hamse shajar aur shajar se ham

नारा लगाते निकले हैं यूँ अपने घर से हम
करने लगे हैं सुनिए मोहब्बत शजर से हम

कहते हैं पैरोकार ये लैला-ओ-क़ैस के
डर जाएँ क्यूँ बताइए दुनिया के डर से हम

दस्त-ए-अदब में परचम-ए-इश्क़-ओ-वफ़ा लिए
आएँ उधर से आप तो आएँ इधर से हम

सब ने तुम्हारा कह के पुकारा हमें सनम
गुज़रे जिधर जिधर से तुम्हारे नगर से हम

हम को गले लगाओ लो बोसा जबीन का
लौटे हैं आज बरसों में वापस सफ़र से हम

है कैफ़ियत अजीब सी फ़ुर्क़त के बाद से
करते हैं बातें देखिए दीवार-ओ-दर से हम

आकर भँवर में इश्क़ की कश्ती उलझ गई
कैसे निकालें बाहर इसे इस भँवर से हम

देखें हमें वो महव-ए-नज़र से मता-ए-जान
देखें मता-ए-जान को महव-ए-नज़र से हम

लिखते हैं ग़ज़लें सारे सुख़नवर सियाही से
लिखते हैं ग़ज़लें दोस्तों ख़ून-ए-जिगर से हम

कलियों से कह रहा है ये गुलशन में एक गुल
करता है इश्क़ हमसे शजर और शजर से हम

  - Shajar Abbas

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari