raat bhar karte rahe unse shajar pyaar ki baat | रात भर करते रहे उनसे 'शजर' प्यार की बात - Shajar Abbas

raat bhar karte rahe unse shajar pyaar ki baat
aur vo karte rahe teer ki talwaar ki baat

aaj ye bazm thi qurbat ko banaane ke liye
kaun ye beech mein le aaya hai deewaar ki baat

chhodkar sirf meri baat vo afraad miyaan
maan leta hai gazab dekhiye sansaar ki baat

bazm-e-sho'ra mein har ik lamha meri kyoon
chalti rahti hai tere hi rukh-e-anwaar ki baat

vo mera yaar hai jo kehta hai kehne de use
kaat doon kaise bhari bazm mein main yaar ki baat

khauf aata hai yun izhaar-e-mohabbat se mujhe
phail jaaye na kahi shehar mein izhaar ki baat

waqt kyun zaaya karoon aapse baate kar ke
aap kar hi nahin sakte mere meyaar ki baat

maqtal-e-ishq mein shehzaad-e-shehr jeet gaya
mat karo yaar mere saamne bekar ki baat

dil mere seene mein zoro se dhadak uthata hai
gar mere zehan mein aaye tere deedaar ki baat

shehr-e-naa-pursaan mein kis se kahoon roodaad bata
koi sunta hi nahin hain yahan nadaar ki baat

yaar jis roz se aaya hoon teri sohbat mein
har jagah hone lagi hai mere kirdaar ki baat

raay sahab ho hani ho ke ho akbar ya khuda
bas shajar maanta hai sirf inheen chaar ki baat

रात भर करते रहे उनसे 'शजर' प्यार की बात
और वो करते रहे तीर की तलवार की बात

आज ये बज़्म थी क़ुर्बत को बनाने के लिए
कौन ये बीच में ले आया है दीवार की बात

छोड़कर सिर्फ़ मेरी बात वो अफ़राद मियाँ
मान लेता है गज़ब देखिए संसार की बात

बज़्म-ए-शो'रा में हर इक लम्हा मेरी जान-ए-वफ़ा
चलती रहती है तेरे ही रुख़-ए-अनवार की बात

वो मेरा यार है जो कहता है कहने दे उसे
काट दूँ कैसे भरी बज़्म में मैं यार की बात

ख़ौफ़ आता है यूँ इज़हार-ए-मोहब्बत से मुझे
फैल जाए न कहीं शहर में इज़हार की बात

वक़्त क्यूँ ज़ाया करूँ आपसे बाते कर के
आप कर ही नहीं सकते मेरे मेयार की बात

मक़तल-ए-इश्क़ में शहज़ाद-ए-शहर जीत गया
मत करो यार मेरे सामने बेकार की बात

दिल मेरे सीने में ज़ोरो से धड़क उठता है
गर मेरे ज़हन में आए तेरे दीदार की बात

शहर-ए-ना-पुरसाँ में किस से कहूँ रूदाद बता
कोई सुनता ही नहीं हैं यहाँ नादार की बात

यार जिस रोज़ से आया हूँ तेरी सोहबत में
हर जगह होने लगी है मेरे किरदार की बात

राय साहब हो हनी हो के हो अकबर या ख़ुदा
बस 'शजर' मानता है सिर्फ़ इन्हीं चार की बात

- Shajar Abbas
3 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari