sabq wafa ka padhaana tum apne bete ko
hamaare jaisa banaana tum apne bete ko
har ek buzurg ka duniya ke ehteraam kare
adab nawaaz uthaana tum apne bete ko
jo pooche kaun tumhein sabse badh ke chahta tha
to naam mera bataana tum apne bete ko
agar ai jaan jo duniya se main guzar jaaun
to meri qabr pe laana tum apne bete ko
vo tumse roothe agar to manaa liya karna
meri tarah na sataana tum apne bete ko
kisi ki jaan ki ai jaan tum idhar aao
ye kahke paas bulaana tum apne bete ko
ai shaahzaadi har ek raat gaake lori mein
hamaari ghazlein sunaana tum apne bete ko
har ek ladki ka duniya ki ehteraam kare
shaour itna sikhaana tum apne bete ko
jahaan jahaan pe mulaqaat hoti thi apni
har us jagah pe ghumaana tum apne bete ko
vo ghar se nikle to dam karna uspe naad-e-ali
yun nazar-e-bad se bachaana tum apne bete ko
har ek shab ai meri shaahzaadi yaad rahe
shajar ki ghazlein padhaana tum apne bete ko
सबक़ वफ़ा का पढ़ाना तुम अपने बेटे को
हमारे जैसा बनाना तुम अपने बेटे को
हर एक बुज़ुर्ग का दुनिया के एहतराम करे
अदब नवाज़ उठाना तुम अपने बेटे को
जो पूछे कौन तुम्हें सबसे बढ़ के चाहता था
तो नाम मेरा बताना तुम अपने बेटे को
अगर ऐ जान जो दुनिया से मैं गुज़र जाऊँ
तो मेरी क़ब्र पे लाना तुम अपने बेटे को
वो तुमसे रूठे अगर तो मना लिया करना
मेरी तरह न सताना तुम अपने बेटे को
किसी की जान की ऐ जान तुम इधर आओ
ये कहके पास बुलाना तुम अपने बेटे को
ऐ शाहज़ादी हर एक रात गाके लोरी में
हमारी ग़ज़लें सुनाना तुम अपने बेटे को
हर एक लड़की का दुनिया की एहतराम करे
शऊर इतना सिखाना तुम अपने बेटे को
जहाँ जहाँ पे मुलाक़ात होती थी अपनी
हर उस जगह पे घुमाना तुम अपने बेटे को
वो घर से निकले तो दम करना उसपे नाद-ए-अली
यूँ नज़र-ए-बद से बचाना तुम अपने बेटे को
हर एक शब ऐ मेरी शाहज़ादी याद रहे
शजर की ग़ज़लें पढ़ाना तुम अपने बेटे को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Mehman Shayari Shayari