vo shaahzaadi bar sar-e-mahfil jidhar gai | वो शाहज़ादी बर सर-ए-महफ़िल जिधर गई

  - Shajar Abbas

vo shaahzaadi bar sar-e-mahfil jidhar gai
mehfil mein us taraf ko sabhi ki nazar gai

ik yaad aaj aisa sitam mujh pe kar gai
aankhon mein mere ashkon ka sailaab bhar gai

qalb-e-hazi pe mere qayamat guzar gai
jo khwahish-e-jigar thi meri aaj mar gai

padhta tha baithkar jo musalle pe ishq ke
tasbeeh bandagi ki hamaari bikhar gai

mere sawaal ka zara mujhko jawaab do
main jisko jaanta tha vo ladki kidhar gai

lautaa main be jawaab jab apne sawaal par
to maine ye kaha ke vo lagta hai mar gai

ab isse badh ke aur nahin sah sakunga gham
ye kahke mere qalb ki dhadkan thehar gai

toofaan aisa shahr-e-mohabbat mein aa gaya
patton ki tarah ishq ki basti bikhar gai

main sochta tha zinda rahoonga tumhaare baad
lekin bichhad ke jeene ki khwaahish bhi mar gai

mat maaro mere qais ko patthar se zaalimon
leila ye shikwa lab pe liye dar-b-dar gai

deewaar mein saleem ko chunwa diya gaya
lagta hai baadshaah ki dastaar-e-sar gai

dil mein mere utarna tha jis ladki ko shajar
dekho vo ladki dil se hi mere utar gai

mujhse sawaal karte hain sab aankar shajar
teri jo saltanat thi bata vo kidhar gai

qirtaas par chalaaya jo maine shajar qalam
tasveer ek phool ki us par ubhar gai

वो शाहज़ादी बर सर-ए-महफ़िल जिधर गई
महफ़िल में उस तरफ़ को सभी की नज़र गई

इक याद आज ऐसा सितम मुझ पे कर गई
आँखों में मेरे अश्कों का सैलाब भर गई

क़ल्ब-ए-हज़ी पे मेरे क़यामत गुज़र गई
जो ख़्वाहिश-ए-जिगर थी मेरी आज मर गई

पढ़ता था बैठकर जो मुसल्ले पे इश्क़ के
तस्बीह बंदगी की हमारी बिखर गई

मेरे सवाल का ज़रा मुझको जवाब दो
मैं जिसको जानता था वो लड़की किधर गई

लौटा मैं बे जवाब जब अपने सवाल पर
तो मैंने ये कहा के वो लगता है मर गई

अब इससे बढ़ के और नहीं सह सकूँगा ग़म
ये कहके मेरे क़ल्ब की धड़कन ठहर गई

तूफ़ान ऐसा शहर-ए-मोहब्बत में आ गया
पत्तों की तरह इश्क़ की बस्ती बिखर गई

मैं सोचता था ज़िन्दा रहूँगा तुम्हारे बाद
लेकिन बिछड़ के जीने की ख़्वाहिश भी मर गई

मत मारो मेरे क़ैस को पत्थर से ज़ालिमों
लैला ये शिकवा लब पे लिए दर-ब-दर गई

दीवार में सलीम को चुनवा दिया गया
लगता है बादशाह की दस्तार-ए-सर गई

दिल में मेरे उतरना था जिस लड़की को शजर
देखो वो लड़की दिल से ही मेरे उतर गई

मुझसे सवाल करते हैं सब आनकर शजर
तेरी जो सल्तनत थी बता वो किधर गई

क़िर्तास पर चलाया जो मैंने शजर क़लम
तस्वीर एक फूल की उस पर उभर गई

  - Shajar Abbas

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari