khushnuma hoga mera saara nagar eed ke din
aur phir jaayenge hamsaaye ke ghar eed ke din
baa rida hoke sar-e-baam vo jab aayegi
saari basti ki nazar hogi udhar eed ke din
ai khuda rahm-o-karam rakhna mere hamdam par
usko lag jaaye na duniya ki nazar eed ke din
mujhse kehne lagi mein tumse nahin bolungi
tum jo ghar par na mere aaye agar eed ke din
jab kaha maine laga lo gale vo kehne lagi
main gale tumko lagaaungi shajar eed ke din
jo tha maazi mein kiya hamse karo vaada wafa
aur milo aake gale lakht-e-jigar eed ke din
ख़ुशनुमा होगा मेरा सारा नगर ईद के दिन
और फिर जाएँगे हमसाए के घर ईद के दिन
बा रिदा होके सर-ए-बाम वो जब आएगी
सारी बस्ती की नज़र होगी उधर ईद के दिन
ऐ ख़ुदा रहम-ओ-करम रखना मेरे हमदम पर
उसको लग जाए न दुनिया की नज़र ईद के दिन
मुझसे कहने लगी में तुमसे नहीं बोलूँगी
तुम जो घर पर न मेरे आए अगर ईद के दिन
जब कहा मैंने लगा लो गले वो कहने लगी
मैं गले तुमको लगाऊँगी शजर ईद के दिन
जो था माज़ी में किया हमसे करो वादा वफ़ा
और मिलो आके गले लख़्त-ए-जिगर ईद के दिन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Hug Shayari Shayari