paanchon ungli ghee mein pa ambar par tha
baat ye tab ki hai jab main apne ghar tha
bhaad mein jaaye tu aur teri tadpaati
tere saath se ziyaada tanhaa behtar tha
vo kya mujhko yaad karega roega
jisne ek bhi baar na dekha mudkar tha
garq-e-kabr mein usko main dafna aaya
jiska darja us rab se bhi oopar tha
kisi nateeje par jaj kaise aa paata
qatl bhi mera aur ilzaam bhi mujhpar tha
shaayad is kaaran hi main kam padh paaya
poore ghar ka zimma jo mere sar tha
पाँचों उँगली घी में पा अम्बर पर था
बात ये तब की है जब मैं अपने घर था
भाड़ में जाए तू और तेरी मज़बूरी
तेरे साथ से ज़्यादा तन्हा बेहतर था
वो क्या मुझको याद करेगा रोएगा
जिसने एक भी बार न देखा मुड़कर था
ग़र्क़-ए-कब्र में उसको मैं दफ़ना आया
जिसका दर्जा उस रब से भी ऊपर था
किसी नतीजे पर जज कैसे आ पाता
क़त्ल भी मेरा और इल्ज़ाम भी मुझपर था
शायद इस कारण ही मैं कम पढ़ पाया
पूरे घर का ज़िम्मा जो मेरे सर था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Ghar Shayari Shayari