dekhna yaad ab uski na kahi jaane lage | देखना याद अब उसकी न कहीं जाने लगे

  - SHIV SAFAR

dekhna yaad ab uski na kahi jaane lage
dard badhta rahe jab tak na maza aane lage

meri haalat pe taras ko bhi taras aane lage
itna gham ho ki main cheekhoon to vo laut aane lage

ai khuda yaad vo aaye to khud apne hi liye
itna zalim main banuun zulm bhi ghabraane lage

ye jo bebaak hui phirti hain moorat hai faqat
husn to vo hai jo ghoonghat mein bhi sharmane lage

naukri waale ki khaatir mujhe chhodaa usne
kaamyaab itna banuunga ki vo pachtaane lage

sirf main maut talak kehta rahoonga ghazlein
yaani jab tak na use meri bhi yaad aane lage

vaise to main kabhi bhi yaad na aaunga magar
yaad tab aaunga tu jab kisi ko paane lage

देखना याद अब उसकी न कहीं जाने लगे
दर्द बढ़ता रहे जब तक न मज़ा आने लगे

मेरी हालत पे तरस को भी तरस आने लगे
इतना ग़म हो कि मैं चीख़ूँ तो वो लौट आने लगे

ऐ ख़ुदा याद वो आए तो ख़ुद अपने ही लिए
इतना ज़ालिम मैं बनूँ ज़ुल्म भी घबराने लगे

ये जो बेबाक हुईं फिरती हैं, मूरत है फ़क़त
हुस्न तो वो है जो घूँघट में भी शर्माने लगे

नौकरी वाले की ख़ातिर मुझे छोड़ा उसने
कामयाब इतना बनूँगा कि वो पछताने लगे

सिर्फ़ मैं मौत तलक कहता रहूँगा ग़ज़लें
यानी जब तक न उसे मेरी भी याद आने लगे

वैसे तो मैं कभी भी याद न आऊँगा मगर
याद तब आऊँगा तू जब किसी को पाने लगे

  - SHIV SAFAR

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari