sab ko paar utar jaana hai mera hai ghar paani mein
mere sapne meri neenden mera bistar paani mein
tumko paane ki khwaahish in aankhon mein yun doobi hai
doob rahe hon jaise saare kankar patthar paani mein
haath chhudaakar jaane waale tumko ye samjhaaye kaun
bin chappu ke kho jaati hain nave akshar paani mein
jaane kya hi khoj rahi hai jaane kya hi khoya hai
kashti kyonkar ghoom rahi hai itne chakkar paani mein
yun hi nahin main jalpariyon ki raahen takta rehta hoon
shaayad ik din tum bhi aao bhes badalkar paani mein
सब को पार उतर जाना है मेरा है घर पानी में
मेरे सपने मेरी नींदें मेरा बिस्तर पानी में
तुमको पाने की ख़्वाहिश इन आँखों में यूँ डूबी है
डूब रहे हों जैसे सारे कंकड़ पत्थर पानी में
हाथ छुड़ाकर जाने वाले तुमको ये समझाए कौन
बिन चप्पू के खो जाती हैं नावें अक्सर पानी में
जाने क्या ही खोज रही है जाने क्या ही खोया है
कश्ती क्योंकर घूम रही है इतने चक्कर पानी में
यूँ ही नहीं मैं जलपरियों की राहें तकता रहता हूँ
शायद इक दिन तुम भी आओ भेस बदलकर पानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam chaubey
our suggestion based on Shivam chaubey
As you were reading Ghar Shayari Shayari