dard hanste hue gar pesh nahin kar sakte | दर्द हँसते हुए गर पेश नहीं कर सकते

  - neeraj

dard hanste hue gar pesh nahin kar sakte
sher kehne ka bhi aadesh nahin kar sakte

hriday ki jhopdi mein dwesh ka aana varjit
prem ke bin kabhi pravesh nahin kar sakte

roz duniya se main roothoon ye kahaan sambhav hai
ghar mein rahna hai to phir klesh nahin kar sakte

aur ik shakhs bhi zinda hai kahaani mein gar
saans lene mein kam-o-besh nahin kar sakte

bheekh mein jism ka milna hai bahut aasaan ab
rooh ko kaanse mein darpaish nahin kar sakte

neer tum kuchh to batao use kya tohfa doon
usse milte hi ghazal pesh nahin kar sakte

दर्द हँसते हुए गर पेश नहीं कर सकते
शेर कहने का भी आदेश नहीं कर सकते

ह्रदय की झोपड़ी में द्वेष का आना वर्जित
प्रेम के बिन कभी प्रवेश नहीं कर सकते

रोज़ दुनिया से मैं रूठूँ ये कहाँ सँभव है
घर में रहना है तो फिर क्लेश नहीं कर सकते

और इक शख़्स भी ज़िंदा है कहानी में गर
साँस लेने में कम-ओ-बेश नहीं कर सकते

भीख में जिस्म का मिलना है बहुत आसान अब
रूह को काँसे में दरपेश! नहीं कर सकते

'नीर' तुम कुछ तो बताओ उसे क्या तोहफ़ा दूँ
उससे मिलते ही ग़ज़ल पेश नहीं कर सकते

  - neeraj

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by neeraj

As you were reading Shayari by neeraj

Similar Writers

our suggestion based on neeraj

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari