falan se baat karta hoon falan ke saath rehta hoon
magar tu dost hai meri tujhe hi raaz kehta hoon
kitaabon mein chhupa kar ke teri tasveer rakhta hoon
hatheli par likhe akshar tera hi naam rehta hoon
tujhe choo le agar koi bura ye haal hota hai
nahin maaloom tujhko kuchh ke dil par kya main sahta hoon
tujhe sochun tujhe khojūn tujhe dekhoon tujhe chaahoon
tu pehla ishq hai mera tere pahluu mein rehta hoon
mujhe maaloom hai ik din bichhad jaayogi tum mujhse
samajh kar faasle apne tere nazdeek rehta hoon
फलाँ से बात करता हूँ फलाँ के साथ रहता हूँ
मगर तू दोस्त है मेरी तुझे ही राज़ कहता हूँ
किताबों में छुपा कर के तेरी तस्वीर रखता हूँ
हथेली पर लिखे अक्सर तेरा ही नाम रहता हूँ
तुझे छू ले अगर कोई बुरा ये हाल होता है
नहीं मालूम तुझको कुछ के दिल पर क्या मैं सहता हूँ
तुझे सोचूँ तुझे खोजूँ तुझे देखूँ तुझे चाहूँ
तू पहला इश्क़ है मेरा तेरे पहलू में रहता हूँ
मुझे मालूम है इक दिन बिछड़ जाओगी तुम मुझसे
समझ कर फ़ासले अपने तेरे नज़दीक रहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ALI ZUHRI
our suggestion based on ALI ZUHRI
As you were reading Baaten Shayari Shayari