har ik khushi ke mauqe par ik mazhabi takraar hai
koii to laaye amn ka paighaam ye darkaar hai
dahshat ke bazaaron mein mandi kaise aa sakti hai ab
dahshat jo failaate hain ab unki hi to sarkaar hai
janta kii jaayez maangon par baatein karein kaise bhala
chaaron taraf bas bik chuke akhbaaron kii bharmaar hai
ab ye adaakaari to laazim hogi hi in khabron mein
khud unka haakim bhi to achcha-khaasa ik fankaar hai
jisne sikhaai theen vo saari chaalein usko khel kii
vo shakhs khud is khel mein ab ho gaya laachaar hai
ye dosti mahangi na pad jaaye ameer-e-shahr ko
kab tak chalegi ek din girni ye bhi sarkaar hai
हर इक ख़ुशी के मौक़े पर इक मज़हबी तकरार है
कोई तो लाए अम्न का पैग़ाम ये दरकार है
दहशत के बाज़ारों में मंदी कैसे आ सकती है अब
दहशत जो फैलाते हैं अब उनकी ही तो सरकार है
जनता की जाएज़ माँगों पर बातें करें कैसे भला
चारों तरफ़ बस बिक चुके अख़बारों की भरमार है
अब ये अदाकारी तो लाज़िम होगी ही इन ख़बरों में
ख़ुद उनका हाकिम भी तो अच्छा-ख़ासा इक फ़नकार है
जिसने सिखाई थीं वो सारी चालें उसको खेल की
वो शख़्स ख़ुद इस खेल में अब हो गया लाचार है
ये दोस्ती महँगी न पड़ जाए अमीर-ए-शहर को
कब तक चलेगी एक दिन गिरनी ये भी सरकार है
As you were reading Shayari by Yuvraj Singh Faujdar
our suggestion based on Yuvraj Singh Faujdar
As you were reading undefined Shayari