intizaar | "इंतिज़ार"

  - Rahul

intizaar

jab kabhi baarish
zameen ko chhooti hai
mujhe yaad aata hai vo waqt
jab ham das qadam ki
doori par rahte the

das qadam ki doori ab
do sau das meel mein badal gai hai
vo sabkuchh badal gaya hai
jo socha bhi nahin tha
kya tu bhi badal gai hai

agar haan to un masaail ko samajh
waqt rahte jinka hal na mila mujhe
mujhe afsos bhi hai ki
ek lafz bhi na kaha tujhse
itna dar lagta tha mujhe

main jaanta hoon mohabbat
darne waalon ka kaam nahin hai
khabar tujhe bhi hai
khabar mujhe bhi hai
meri mohabbat naakaam nahin hai

naakaam to main hoon duniya ki nazar mein
kaccha ghar jiske saamne kacchi galiyaan
tere shauq ke liye yahan kuchh bhi nahin hai
haan magar zaroorat ka sab samaan hai
kaagaz qalam shajar mehkati kaliyaan

vo kaliyaan jinhen kab se
tere ek lams ki darkaar hai
vo shajar jo boodha ho gaya hai
usse kaha tha kabhi kisi ne
pyaar to intizaar hai

"इंतिज़ार"

जब कभी बारिश
ज़मीं को छूती है
मुझे याद आता है वो वक़्त
जब हम दस क़दम की
दूरी पर रहते थे

दस क़दम की दूरी अब
दो सौ दस मील में बदल गई है
वो सबकुछ बदल गया है
जो सोचा भी नहीं था
क्या तू भी बदल गई है

अगर हाँ तो उन मसाइल को समझ
वक़्त रहते जिनका हल न मिला मुझे
मुझे अफ़सोस भी है कि
एक लफ़्ज़ भी न कहा तुझसे
इतना डर लगता था मुझे

मैं जानता हूँ मोहब्बत
डरने वालों का काम नहीं है
ख़बर तुझे भी है
ख़बर मुझे भी है
मेरी मोहब्बत नाकाम नहीं है

नाकाम तो मैं हूँ दुनिया की नज़र में
कच्चा घर जिसके सामने कच्ची गलियाँ
तेरे शौक़ के लिए यहाँ कुछ भी नहीं है
हाँ मगर ज़रूरत का सब सामान है
काग़ज़, क़लम, शजर, महकती कलियाँ

वो कलियाँ जिन्हें कब से
तेरे एक लम्स की दरकार है
वो शजर जो बूढ़ा हो गया है
उससे कहा था कभी किसी ने
प्यार तो इंतिज़ार है

  - Rahul

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahul

As you were reading Shayari by Rahul

Similar Writers

our suggestion based on Rahul

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari