nazaare kho gaye the baaki sab jab tum mile mujh ko
sitaare chaand jugnoo shaam tujh mein gum mile mujh ko
hua sab par asar aisa tumhaari is takallum ka
bahut si baatein karne waale bhi gum-sum mile mujh ko
tasavvur mein banaai maine jo tasveer thi jiski
haqeeqat ban gai aisa laga jab tum mile mujh ko
ho kar azaad pinjaron se vo qaidi ban gaye phir se
parinde zulfon ke jungle mein saare gum mile mujh ko
नज़ारे खो गए थे बाकी सब जब तुम मिले मुझ को
सितारे, चांँद, जुगनू, शाम तुझ में गुम मिले मुझ को
हुआ सब पर असर ऐसा तुम्हारी इस तकल्लुम का
बहुत सी बातें करने वाले भी गुम-सुम मिले मुझ को
तसव्वुर में बनाई मैंने जो तस्वीर थी जिसकी
हकी़क़त बन गई ऐसा लगा जब तुम मिले मुझ को
हो कर आज़ाद पिंजरों से वो कै़दी बन गए फिर से
परिंदे ज़ुल्फ़ों के जंगल में सारे गुम मिले मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhay Aadiv
our suggestion based on Abhay Aadiv
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari