phir ik jamm-e-ghaafir | फिर इक जम्म-ए-ग़फ़ीर

  - Aashufta Changezi

phir ik jamm-e-ghaafir
ek maidaan mein
aasmaan ki taraf der se tak raha hai
imra-ul-qais ki betiyaan
shaayri ki zabaan phir samajhne lagin
laplapaati zabaanen
khitaabat ka jaadu jagaane lagin
vo khuda-zaadiyaan muskuraane lagin
aur melon mein phir bheed badhne lagi

koi mimbar se bola
ki ai mere pyaaro
tumhein apne aglon ki umren lagen
baaz aao safar se
kuchh aaraam lo
qaafilon ki madhur ghantiyaan
ret ke silsile
us ki denge gawaahi tumhein
ham ne pehle kaha tha
gharo mein raho
tum na maane to us ki saza pa chuke
baaz aao abhi waqt hai
be-karaan neeli neeli khala
phir na mashhoor kar de tumhein

फिर इक जम्म-ए-ग़फ़ीर
एक मैदान में
आसमाँ की तरफ़ देर से तक रहा है!
इमरा-उल-क़ैस की बेटियाँ
शाइरी की ज़बाँ फिर समझने लगीं
लपलपाती ज़बानें
ख़िताबत का जादू जगाने लगीं
वो ख़ुदा-ज़ादियाँ मुस्कुराने लगीं
और मेलों में फिर भीड़ बढ़ने लगी

कोई मिम्बर से बोला
कि ऐ मेरे प्यारो!
तुम्हें अपने अगलों की उम्रें लगें
बाज़ आओ सफ़र से
कुछ आराम लो
क़ाफ़िलों की मधुर घंटियाँ
रेत के सिलसिले
उस की देंगे गवाही तुम्हें
हम ने पहले कहा था
घरों में रहो
तुम न माने तो उस की सज़ा पा चुके
बाज़ आओ अभी वक़्त है
बे-कराँ नीली नीली ख़ला
फिर न मसहूर कर दे तुम्हें

  - Aashufta Changezi

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari