guzar gaye hain jo mausam kabhi na aayenge | गुज़र गए हैं जो मौसम कभी न आएँगे - Aashufta Changezi

guzar gaye hain jo mausam kabhi na aayenge
tamaam dariya kisi roz doob jaayenge

safar to pehle bhi kitne kiye magar is baar
ye lag raha hai ki tujh ko bhi bhool jaayenge

alaav thande hain logon ne jaagna chhodaa
kahaani saath hai lekin kise sunaayenge

suna hai aage kahi gaddaari baanti jaati hain
tum apni raah chuno saath chal na paayenge

duaaein loriyaan maon ke paas chhod aaye
bas ek neend bachi hai khareed laayenge

zaroor tujh sa bhi hoga koi zamaane mein
kahaan talak tiri yaadon se jee lagaaenge

गुज़र गए हैं जो मौसम कभी न आएँगे
तमाम दरिया किसी रोज़ डूब जाएँगे

सफ़र तो पहले भी कितने किए मगर इस बार
ये लग रहा है कि तुझ को भी भूल जाएँगे

अलाव ठंडे हैं लोगों ने जागना छोड़ा
कहानी साथ है लेकिन किसे सुनाएँगे

सुना है आगे कहीं सम्तें बाँटी जाती हैं
तुम अपनी राह चुनो साथ चल न पाएँगे

दुआएँ लोरियाँ माओं के पास छोड़ आए
बस एक नींद बची है ख़रीद लाएँगे

ज़रूर तुझ सा भी होगा कोई ज़माने में
कहाँ तलक तिरी यादों से जी लगाएँगे

- Aashufta Changezi
0 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari