sabhi ko apna samajhta hoon kya hua hai mujhe | सभी को अपना समझता हूँ क्या हुआ है मुझे

  - Aashufta Changezi

sabhi ko apna samajhta hoon kya hua hai mujhe
bichhad ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe

jo mud ke dekha to ho jaayega badan patthar
kahaaniyon mein suna tha so bhognaa hai mujhe

main tujh ko bhool na paaya yahi ghaneemat hai
yahan to is ka bhi imkaan lag raha hai mujhe

main sard jang ki aadat na daal paaoonga
koi mahaaz pe waapas bula raha hai mujhe

sadak pe chalte hue aankhen band rakhta hoon
tire jamaal ka aisa maza pada hai mujhe

abhi talak to koi waapsi ki raah na thi
kal ek raahguzar ka pata laga hai mujhe

sadak pe chalte hue aankhen band rakhta hoon
tire jamaal ka aisa maza pada hai mujhe

abhi talak to koi waapsi ki raah na thi
kal ek raahguzar ka pata laga hai mujhe

सभी को अपना समझता हूँ क्या हुआ है मुझे
बिछड़ के तुझ से अजब रोग लग गया है मुझे

जो मुड़ के देखा तो हो जाएगा बदन पत्थर
कहानियों में सुना था सो भोगना है मुझे

मैं तुझ को भूल न पाया यही ग़नीमत है
यहाँ तो इस का भी इम्कान लग रहा है मुझे

मैं सर्द जंग की आदत न डाल पाऊँगा
कोई महाज़ पे वापस बुला रहा है मुझे

सड़क पे चलते हुए आँखें बंद रखता हूँ
तिरे जमाल का ऐसा मज़ा पड़ा है मुझे

अभी तलक तो कोई वापसी की राह न थी
कल एक राहगुज़र का पता लगा है मुझे

सड़क पे चलते हुए आँखें बंद रखता हूँ
तिरे जमाल का ऐसा मज़ा पड़ा है मुझे

अभी तलक तो कोई वापसी की राह न थी
कल एक राहगुज़र का पता लगा है मुझे

  - Aashufta Changezi

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari