meri parchaaiyaan gum hain meri pehchaan baqi hai
safar dam todne ko hai magar samaan baqi hai
abhi to khwahishon ke darmiyaan ghamsaan baqi hai
abhi is jism-e-faani mein zara sii jaan baqi hai
ise tareekiyo ne qaid kar rakkha hai barson se
mere kamre mein bas kehne ko raushandaan baqi hai
tumhaara jhooth chehre se ayaan ho jaayega ik din
tumhaare dil ke andar tha jo vo shaitaan baqi hai
guzaari umr jiski bandagi mein vo hai la-haasil
ajab sarmaya-kaari hai nafa-nuksaan baqi hai
abhi zinda hai boodha baap ghar kii zindagi bankar
faqat kamre juda hain beech mein daalaan baqi hai
ghazal zinda hai urdu ke adab-bardaar zinda hain
hamaari tarbiyat mein ab bhi hindostaan baqi hai
मेरी परछाइयाँ गुम हैं मेरी पहचान बाक़ी है
सफ़र दम तोड़ने को है मगर सामान बाक़ी है
अभी तो ख़्वाहिशों के दरमियाँ घमसान बाक़ी है
अभी इस जिस्म-ए-फ़ानी में ज़रा सी जान बाक़ी है
इसे तारीकियों ने क़ैद कर रक्खा है बरसों से
मेरे कमरे में बस कहने को रौशनदान बाक़ी है
तुम्हारा झूट चेहरे से अयाँ हो जाएगा इक दिन
तुम्हारे दिल के अंदर था जो वो शैतान बाक़ी है
गुज़ारी उम्र जिसकी बंदगी में वो है ला-हासिल
अजब सरमाया-कारी है नफ़ा-नुक़सान बाक़ी है
अभी ज़िंदा है बूढ़ा बाप घर की ज़िन्दगी बनकर
फ़क़त कमरे जुदा हैं बीच में दालान बाक़ी है
ग़ज़ल ज़िंदा है उर्दू के अदब-बरदार ज़िंदा हैं
हमारी तरबीयत में अब भी हिंदोस्तान बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abbas Qamar
our suggestion based on Abbas Qamar
As you were reading Deshbhakti Shayari Shayari