jahaan saare hawa banne ki koshish kar rahe the
wahan bhi ham diya banne ki koshish kar rahe the
hamein zor-e-tasavvur bhi ganwaana pad gaya ham
tasavvur mein khuda banne ki koshish kar rahe the
zameen par aa gire jab aasmaan se khwaab mere
zameen ne poocha kya banne ki koshish kar rahe the
unhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the
hamein dushwaariyon mein muskuraane ki talab thi
ham ik tasveer sa banne ki koshish kar rahe the
जहाँ सारे हवा बनने की कोशिश कर रहे थे
वहाँ भी हम दिया बनने की कोशिश कर रहे थे
हमें ज़ोर-ए-तसव्वुर भी गँवाना पड़ गया हम
तसव्वुर में ख़ुदा बनने की कोशिश कर रहे थे
ज़मीं पर आ गिरे जब आसमाँ से ख़्वाब मेरे
ज़मीं ने पूछा क्या बनने की कोशिश कर रहे थे
उन्हें आँखों ने बेदर्दी से बे-घर कर दिया है
ये आँसू क़हक़हा बनने की कोशिश कर रहे थे
हमें दुश्वारियों में मुस्कुराने की तलब थी
हम इक तस्वीर सा बनने की कोशिश कर रहे थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abbas Qamar
our suggestion based on Abbas Qamar
As you were reading Tasweer Shayari Shayari