haalat-e-haal se begaana bana rakha hai | हालत-ए-हाल से बेगाना बना रक्खा है - Abbas Qamar

haalat-e-haal se begaana bana rakha hai
khud ko maazi ka nihaan-khaana bana rakha hai

khof-e-dozakh ne hi ijaad kiya hai sajda
dar ne insaan ko deewaana bana rakha hai

mimbar-e-ishq se taqreer ki khwaahish hai humein
dil ko is vaaste maulaana bana rakha hai

maatam-e-shauq bapaa karte hain har shaam yahan
jism ko hum ne azaan-khaana bana rakha hai

waqt-e-rukhsat hai mere chaahne waalon ne bhi ab
saans ko waqt ka paimaana bana rakha hai

jaante hain vo parinda hai nahin thehrega
hum ne us dil ko magar daana bana rakha hai

हालत-ए-हाल से बेगाना बना रक्खा है
ख़ुद को माज़ी का निहाँ-ख़ाना बना रक्खा है

ख़ौफ़-ए-दोज़ख़ ने ही ईजाद किया है सज्दा
डर ने इंसान को दीवाना बना रक्खा है

मिम्बर-ए-इश्क़ से तक़रीर की ख़्वाहिश है हमें
दिल को इस वास्ते मौलाना बना रक्खा है

मातम-ए-शौक़ बपा करते हैं हर शाम यहाँ
जिस्म को हम ने अज़ाँ-ख़ाना बना रक्खा है

वक़्त-ए-रुख़्सत है मिरे चाहने वालों ने भी अब
साँस को वक़्त का पैमाना बना रक्खा है

जानते हैं वो परिंदा है नहीं ठहरेगा
हम ने उस दिल को मगर दाना बना रक्खा है

- Abbas Qamar
3 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Qamar

As you were reading Shayari by Abbas Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Qamar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari