mitti se mashwara na kar paani ka bhi kaha na maan | मिट्टी से मशवरा न कर पानी का भी कहा न मान

  - Abhishek shukla

mitti se mashwara na kar paani ka bhi kaha na maan
ai aatish-e-daroo meri pabandi-e-hawaa na maan

har ik lugat se maavra main hoon ajab muhavra
meri zabaan mein padh mujhe duniya ka tarjuma na maan

zinda sama'aton ka sog sunte kahaan hain ab ye log
tu bhi sadaaein deta rah mujh ko bhi be-sada na maan

ya to vo aab ho bahut ya phir saraab ho bahut
mitti ho jis ke jism mein us ko mera khuda na maan

toote hain mujh pe qahar bhi main ne piya hai zahar bhi
meri zabaan-e-talkh ka itna bhi ab bura na maan

bas ek deed bhar ka hai phir to ye waqfa-e-hayaat
un ke qareeb ja magar aankhon ki iltijaa na maan

मिट्टी से मशवरा न कर पानी का भी कहा न मान
ऐ आतिश-ए-दरूँ मिरी पाबंदी-ए-हवा न मान

हर इक लुग़त से मावरा मैं हूँ अजब मुहावरा
मिरी ज़बाँ में पढ़ मुझे दुनिया का तर्जुमा न मान

ज़िंदा समाअतों का सोग सुनते कहाँ हैं अब ये लोग
तू भी सदाएँ देता रह मुझ को भी बे-सदा न मान

या तो वो आब हो बहुत या फिर सराब हो बहुत
मिट्टी हो जिस के जिस्म में उस को मिरा ख़ुदा न मान

टूटे हैं मुझ पे क़हर भी मैं ने पिया है ज़हर भी
मेरी ज़बान-ए-तल्ख़ का इतना भी अब बुरा न मान

बस एक दीद भर का है फिर तो ये वक़्फ़ा-ए-हयात
उन के क़रीब जा मगर आँखों की इल्तिजा न मान

  - Abhishek shukla

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek shukla

As you were reading Shayari by Abhishek shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek shukla

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari