safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jaaye | सफर के बाद भी ज़ौक़-ए-सफर न रह जाए

  - Abhishek shukla

safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jaaye
khyaal-o-khwaab mein ab ke bhi ghar na rah jaaye

main sochta hoon bahut zindagi ke baare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaaye

bas ek khauf mein hoti hai har sehar meri
nishaan-e-khwaab kahi aankh par na rah jaaye

ye be-hisi to meri zid thi mere azzaa se
ki mujh mein apne ta'aaqub ka dar na rah jaaye

hawaa-e-shaam tera raqs na-guzir sahi
ye meri khaak tere jism par na rah jaaye

usi ki shakl liya chahti hai khaak meri
so shehr-e-jaan mein koi kooza gar na rah jaaye

guzar gaya ho agar qafila to dekh aao
paas-e-ghubaar kisi ki nazar na rah jaaye

main ek aur khada hoon hisaar-i-duniya ke
vo jis ki zid mein khada hoon udhar na rah jaaye

सफर के बाद भी ज़ौक़-ए-सफर न रह जाए
ख्याल-ओ-ख्वाब में अब के भी घर न रह जाए

मैं सोचता हूँ बहुत ज़िन्दगी के बारे में
ये ज़िन्दगी भी मुझे सोच कर न रह जाए

बस एक खौफ में होती है हर सहर मेरी
निशान-ए-ख्वाब कहीं आँख पर न रह जाए

ये बे-हिसि तो मेरी ज़िद थी मेरे अज्ज़ा से
की मुझ में अपने तआक़ुब का दर न रह जाए

हवा-ए-शाम तेरा रक़्स न-गुज़िर सही
ये मेरी खाक तेरे जिस्म पर न रह जाए

उसी की शक्ल लिया चाहती है खाक मेरी
सो शहर-ए-जान में कोई कूज़ा -गर न रह जाए

गुज़र गया हो अगर क़ाफ़िला तो देख आओ
पास-ए-ग़ुबार किसी की नज़र न रह जाए

मैं एक और खड़ा हूँ हिसार-इ-दुनिया के
वो जिस की ज़िद में खड़ा हूँ उधर न रह जाए

  - Abhishek shukla

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek shukla

As you were reading Shayari by Abhishek shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek shukla

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari