faseel-e-jism gira de makaan-e-jan se nikal | फ़सील-ए-जिस्म गिरा दे मकान-ए-जाँ से निकल - Abhishek shukla

faseel-e-jism gira de makaan-e-jan se nikal
ye intishaar-zada shehar hai yahan se nikal

tiri talash mein firte hain aftaab kai
so ab ye farz hai tujh par ki saaebaan se nikal

tamaam shehar pe ik khaamoshi musallat hai
ab aisa kar ki kisi din meri zabaan se nikal

maqaam-e-wasl to arz-o-sama ke beech mein hai
main is zameen se nikloon tu aasmaan se nikal

main apni zaat mein taariqiyaan samete hoon
tu ik charaagh jala aur ab yahan se nikal

kaha tha mujh se bhi ik din hawa-e-sehra ne
meri panaah mein aa ja ghubaar-e-jaan se nikal

फ़सील-ए-जिस्म गिरा दे मकान-ए-जाँ से निकल
ये इंतिशार-ज़दा शहर है यहाँ से निकल

तिरी तलाश में फिरते हैं आफ़्ताब कई
सो अब ये फ़र्ज़ है तुझ पर कि साएबाँ से निकल

तमाम शहर पे इक ख़ामुशी मुसल्लत है
अब ऐसा कर कि किसी दिन मिरी ज़बाँ से निकल

मक़ाम-ए-वस्ल तो अर्ज़-ओ-समा के बीच में है
मैं इस ज़मीन से निकलूँ तू आसमाँ से निकल

मैं अपनी ज़ात में तारीकियाँ समेटे हूँ
तू इक चराग़ जला और अब यहाँ से निकल

कहा था मुझ से भी इक दिन हवा-ए-सहरा ने
मिरी पनाह में आ जा ग़ुबार-ए-जाँ से निकल

- Abhishek shukla
0 Likes

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek shukla

As you were reading Shayari by Abhishek shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek shukla

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari