ham aise soye bhi kab the hamein jaga laate | हम ऐसे सोए भी कब थे हमें जगा लाते

  - Abhishek shukla

ham aise soye bhi kab the hamein jaga laate
kuchh ek khwaab to shab-khoon se bacha laate

ziyaan to dono tarah se hai apni mitti ka
ham aab laate ki apne liye hawa laate

pata jo hota ki niklega chaand jaisa kuchh
ham apne saath sitaaron ko bhi utha laate

hamein yaqeen nahin tha khud apni rangat par
ham is zameen ki hatheli pe rang kya laate

bas aur kuchh bhi nahin chahta tha main tum se
zara si cheez thi duniya kahi chhupa laate

hamaare azm ki shiddat agar samajhni thi
to is safar mein koi sakht marhala laate

हम ऐसे सोए भी कब थे हमें जगा लाते
कुछ एक ख़्वाब तो शब-ख़ून से बचा लाते

ज़ियाँ तो दोनों तरह से है अपनी मिट्टी का
हम आब लाते कि अपने लिए हवा लाते

पता जो होता कि निकलेगा चाँद जैसा कुछ
हम अपने साथ सितारों को भी उठा लाते

हमें यक़ीन नहीं था ख़ुद अपनी रंगत पर
हम इस ज़मीं की हथेली पे रंग क्या लाते

बस और कुछ भी नहीं चाहता था मैं तुम से
ज़रा सी चीज़ थी दुनिया कहीं छुपा लाते

हमारे अज़्म की शिद्दत अगर समझनी थी
तो इस सफ़र में कोई सख़्त मरहला लाते

  - Abhishek shukla

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek shukla

As you were reading Shayari by Abhishek shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek shukla

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari