aankhon hi aankhon mein har baat kiya karte hain
badi lambi vo mulaqaat kiya karte hain
chhodkar mujhko kahin bhi nahin jaate hain vo
ab to har kaam mere saath kiya karte hain
haar jaata hoon yahi ek ada par jaan bhi
mujhse jab rote hue baat kiya karte hain
phool baalon mein lagaate hain gul-e-ahmar ka
aur kaanton se karaamaat kiya karte hain
mujhse kahte hain nahin jaanta hoon tujhko aur
vo zamaane se meri baat kiya karte hain
आँखों ही आँखों में हर बात किया करते हैं
बड़ी लंबी वो मुलाक़ात किया करते हैं
छोड़कर मुझको कहीं भी नहीं जाते हैं वो
अब तो हर काम मिरे साथ किया करते हैं
हार जाता हूँ यही एक अदा पर जाँ भी
मुझसे जब रोते हुए बात किया करते हैं
फूल बालों में लगाते हैं गुल-ए-अहमर का
और काँटों से करामात किया करते हैं
मुझसे कहते हैं नहीं जानता हूँ तुझको और
वो ज़माने से मिरी बात किया करते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari